ab chotu bhi padhega

Ek bar phir sarkar ne garib baccho ko anivarya roop se shiksha dene ka phesla kiya hai.jisme jariye 6 se 14 saal tk baccho ko mupht aur anivarya shiksha di jayegi.ye kanoon 31 octuber 2008 me parit hua.is prayas me lagbhag 22800000 karod rupye kharch hone ka anuman hai.is vidheyak ka ek hi lakhya hai. jin kandho pr bachpan me school beag ki jagah bojhe hote hai unhe khatam kiya jaye.jinhe chotu ya bhadur naam se pukara jata hai.chotu chai lana bhadur bartan dhul jaldi.in baccho ko pta nahi hota school kya hai bachpan kya hai.aise baccho ke liye niji school me 25% aarashan hoga.in sb yojnao ko bnanana to bda aasan hai pr inka sdupyog hona alag baat hai.yojnaye vidheyak aaye din parit hote hai.yepta nahi chal pata ki kb ye bane aur dab kr rah gaye.phir ye bacche sadak pr bhik mangte rahte hai aur hotel me bartan dhulte rah jate hai.koi aisi sanstha nahi hoti jo in baccho ko in kamo se hta ke shiksha ke marg pr bheja jaye aur inhe Hindustan ka bhavisya banne ka sapna dikhaya jaye.raju (8 se 11) ke beech kehta hai babu ji kahte hai padhne ke paise nahi duga kaam karna hoga.aisa hi kuch gudiya kahti hai school se log bhaga dete hai kahte hai arre ye to bhikh mangti hai.jis samaj me aisi yojnaye ho sakti to kya inka sadupyog nahi ho sakta bus jarurat hai logo btane ki un tk pahuchane ki.phir se ye vidheyak parit ho gaya hai.6 se 14 saal ke baccho ko anivarya shiksha di jayegi .kendra aur rajya sarkar mupht aur anivarya shiksha muheaya krane me badhya hogi.tb sayad chotu aur bhadur jaise baccho ko juthe glass ki jagah ek kitab mil jaye.jinse na sirf unka bhavisya hi nahi balki hamara samaj bhi sabhya aur ujjval hoga.

Comments

Best one

अब तो जागो